Saturday, 25 March 2017

Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana - Ahmad Faraz

Jo  chal  sako to aisi  koe chaal  chal jaana
Mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana

Ye sholagi ho badan ki to kia kia jaaye
So lazmi tha tere pairahan ka jal jaaana

tumhi karo koe darman,ye waqt aa pahucha
Ab to charah garon ko bhi hath mal jaana

Abhi abhi to judae ki shaam aayee thi
hamain ajeeb laga zindagi ka dhal jaana

Saji sajaayi hue maut zindagi to nahi
Moarrikhon ne maqabir ko bhi Mahal jaana

Ye kia? k tu bhi isi sa'at e zawal mai hai
K jis tarah hai sabhi surajon ko dhal jaana


No comments:

Post a Comment