Agarche zor hawaon ne dal rakha hai
Magar chirag ne lau ko sambhal rakha hai
Mohabbaton mian to milna hai ya ujad jaana
Mizaj e Ishq main kab etadal rakha hai
Hawa mian Nasha hi Nasha Fiza mian rang hi rang
Ye kis ne Pairahan Apna Uchhhal Rakha hai
Bhale dinon ka bharosa hi kia , rahian na rahain
So main ne Rishta e gham Ko Bahal Rakha hai
Ham aise sada dilon ko wo dost hon k khuda
Sabhi ne wada e farda pe Taal Rakha hai
Hisab e Lutf e Hareefan kia hai jab tu khula
K doston ne zyadah khayal Rakha hai
Bhari Bahar main ek shakh par khila hai gulab
K jaise tu ne Hatheli pe gal rakha hai
Faraz Ishq ki dunya to khubsurat thi
Ye kisne fitna e hijr o wesaal rakha hai
No comments:
Post a Comment