Showing posts with label khab. Show all posts
Showing posts with label khab. Show all posts

Wednesday, 5 April 2017

Faraz Ishq ki dunya to khubsurat thi - Ahmad Faraz

Agarche zor hawaon ne dal rakha hai 
Magar chirag ne lau ko sambhal rakha hai

Mohabbaton mian to milna hai ya ujad jaana
Mizaj e Ishq main kab etadal rakha hai

Hawa mian Nasha hi Nasha Fiza mian rang hi rang
Ye kis ne Pairahan Apna Uchhhal Rakha hai

Bhale dinon ka bharosa hi kia , rahian na rahain
So main ne Rishta e gham Ko Bahal Rakha hai

Ham aise sada dilon ko wo dost hon k khuda
Sabhi ne wada e farda pe Taal Rakha hai

Hisab e Lutf e Hareefan kia hai jab tu khula
K doston ne zyadah khayal Rakha hai

Bhari Bahar main ek shakh par khila hai gulab
K jaise tu ne Hatheli pe gal rakha hai

Faraz Ishq ki dunya to khubsurat thi
Ye kisne fitna e hijr o wesaal rakha hai

Tuesday, 4 April 2017

Log Badal jate hain

Mujhe bhi pata tha log Badal jate hain Magar
Main ne Kabhi tumhain logon mai gina hi nahi tha


مجھے بھی  پتا  تھا  لوگ بدل  جاتے  ہیں  مگر


میں نے کبھی تمہیں لوگوں میں گنا ہی نہیں تھا

Saturday, 1 April 2017

Apne hisse ki koe shama Jalate jaate - Ahmad faraz


Silsile tod gaya wo sabhi jate jate
Warna itne to marasim the k aate jate
Shikwa e Zulmate shab se to kahin behtar tha
Apne hisse ki koe  shama Jalate jaate
Kitna aasan that ere hijr mai marna janan
Phir bhi ek umr lagi jaan se jaate jate
Jashn e maqtal hi na barpa hua warna ham bhi
Pa bajaulan hi sahi Nachte gaate jaate
Uski wo jaane use pas e wafa tha k na tha
Tum Faraz Apni taraf se to nibhate jaate

Thursday, 30 March 2017

Mere sapno ko sada

Mere sapno ko sada yunhi mahakta rakhna

Main ne thama the tera hath bade man ke sath


میرے سپنوں سدا یوں ہی مہکتا رکھنا

میں نے تھاما ہے ترا ہاتھ بڑے مان کے ساتھ

Saturday, 25 March 2017

Dil bahalta hai kahan - Ahmad Faraz

Dil bahalta hai kahan Anjum o Mahtab se bhi
Ab to hum log gaye deeda e be khaab se bhi

Ro    pada  hun  to  koe  baat  hi  aisi  ho gi
Main, k waqif tha Tere Hijr ke aadab se bhi

Kuchh to us Aankh ka shewah hai khafa ho jana
Aur Kuchh bhool hue hai dil e betaab se bhi

Aye samundar ki hawa , Tera Karam bhi Maloom
pyas sahil ki to bujhti nahi Sailab Se Bhi

Kuchh to us Husn ko jaane hai zamana sara
Aur kuchh bat chali hai mere ahbab se bhi

Ye soch kar k Gham ke kharidar aa gaye - Ahmad Faraz

Ye soch kar k Gham ke kharidar aa gaye
Hum khaab bechne  sar e rah Aa gaye

Ab dil main hausla na sakat bazuon mai hai
Abke muqable pe mere yaar Aa gaye

Aawaz de ke chhup gayee har bar zindagi
Hum aise sadah dil the k har bar aa gaye

Hum Kaj Ada chirag k jab bhi hawa chali
Taqon ko chhor kar Sar e diwar aa Gaye