
Showing posts with label Mohabbat. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat. Show all posts
Wednesday, 19 April 2017
wo aksar Mujh se kahti Thi
wo aksar Mujh se kahti Thi

Main ne jalta hua har daur mian insan Dekha
میں نے جلتا ہوا ہر دور میں انساں دیکھا
Main ne kagaz pe bhi chhalon ka gulistan dekha
Tu ne dekha hai munderon pe chiragon ko faqat
Main ne jalta hua har daur mian insan Dekha
جب تیری یاد میں مصرع کوئی لکھنے بیٹھا
میں نے کاغذ پہ بھی چھالوں کا گلستاں دیکھا
تو نے دیکھا ہے منڈیروں پہ چراغوں کو فقط
میں نے جلتا ہوا ہر دور میں انساں دیکھا
Tuesday, 18 April 2017
Wednesday, 5 April 2017
Palat ke aana to kashti main dhoop bhar laana - Ahmad Faraz
Jahan bhi jaana to aankhon main khaab bhar lana
ye kia ? K dil ko hamesha Udaas kar laana
Main barf barf ruton mian chala to usne kaha
Palat ke aana to kashti main dhoop bhar laana
Bhali lagi hamain khush qamati kisi ki magar
Naseeb mai kahan is sar'w ka samar laana
Pyam kaisa, magar ho sake to aye qasid
Kabhi Koe Khabar e Yar e Bekhabar lana
Faraz Abke jab aao Dayar e Janaan mian
Bajaye Tuhfa e Dil Armughan e Dil Laana
Faraz Ishq ki dunya to khubsurat thi - Ahmad Faraz
Agarche zor hawaon ne dal rakha hai
Magar chirag ne lau ko sambhal rakha hai
Mohabbaton mian to milna hai ya ujad jaana
Mizaj e Ishq main kab etadal rakha hai
Hawa mian Nasha hi Nasha Fiza mian rang hi rang
Ye kis ne Pairahan Apna Uchhhal Rakha hai
Bhale dinon ka bharosa hi kia , rahian na rahain
So main ne Rishta e gham Ko Bahal Rakha hai
Ham aise sada dilon ko wo dost hon k khuda
Sabhi ne wada e farda pe Taal Rakha hai
Hisab e Lutf e Hareefan kia hai jab tu khula
K doston ne zyadah khayal Rakha hai
Bhari Bahar main ek shakh par khila hai gulab
K jaise tu ne Hatheli pe gal rakha hai
Faraz Ishq ki dunya to khubsurat thi
Ye kisne fitna e hijr o wesaal rakha hai
Labels:
Ahmad Faraz,
dost,
ghazal,
judae,
khab,
khushi,
Love poetry,
Mohabbat,
Musafir,
Phool.,
Ranjish,
Udasi,
wafa,
Yaadain,
Zindagi
Is Shahr ki faza K Charagh Aashna na Thi- Ahmad Faraz
100 dooriyon pe bhi mere Dil se Juda Na Thi
Tu Meri zindagi thi Magar bewafa na Thi
Dil Ne Zara se Gham ko qayamat Bana Diya
Warna wo Aankh itni zyadah Khafa Na Thi
Yun Dil Laraz Utha hai Kisi Ko Pukar Kar
Meri sada bhi k jaise Meri Sada na Thi
Barg e Khizan jo shakh Toota wo Khak tha
Is Jaan Supurdagi ke to Qabil Hawa Na Thi
Jugnu ki roshni se bhi Kia Kia Bhadak Uthi
Is Shahr ki faza K Charagh Aashna na Thi
Saturday, 1 April 2017
Apne hisse ki koe shama Jalate jaate - Ahmad faraz
Silsile tod gaya wo sabhi jate jate
Warna itne to marasim the k aate jate
Shikwa e Zulmate shab se to kahin
behtar tha
Apne hisse ki koe shama Jalate jaate
Kitna aasan that ere hijr mai marna
janan
Phir bhi ek umr lagi jaan se jaate
jate
Jashn e maqtal hi na barpa hua warna
ham bhi
Pa bajaulan hi sahi Nachte gaate
jaate
Uski wo jaane use pas e wafa tha k na
tha
Tum Faraz Apni taraf se to nibhate
jaate
Labels:
Ahmad Faraz,
judae,
khab,
khushi,
Love poetry,
Mohabbat,
Ranjish,
tanhae,
Udasi,
wafa,
Yaadain,
Zindagi
Thursday, 30 March 2017
Wednesday, 29 March 2017
Aa chuke ab to shab o roz Azabon Wale - Ahmad Faraz
ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale
In se mat mil k inhain rog hain khabon wale
Ab Mah o saal ki muhlat nahi Milne Wali
Aa chuke ab to shab o roz Azabon Wale
Ab to sab dushna o Khanjar ki zaban bolte hain
Ab kahan log Mohabbat ke nisabon waale
Jo dilon par hi kabhi naqab zani karte the
Ab Gharon tak chale aaye wo Naqabon wale
Zinda rahne ki tamanna ho to Ho jate hain
Fakhtaaon ke bhi kirdar Oqabon waale
Na mere zakhm khile hain na tera rang e hina
Abke Mosam hi nahi aaye gulabon wale
Yun to lagta hai k qismat ka sikandar hai faraz
Magar Andaz hain sab khana kharabon wale
Saturday, 25 March 2017
Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana - Ahmad Faraz
Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana
Mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana
Ye sholagi ho badan ki to kia kia jaaye
So lazmi tha tere pairahan ka jal jaaana
tumhi karo koe darman,ye waqt aa pahucha
Ab to charah garon ko bhi hath mal jaana
Abhi abhi to judae ki shaam aayee thi
hamain ajeeb laga zindagi ka dhal jaana
Saji sajaayi hue maut zindagi to nahi
Moarrikhon ne maqabir ko bhi Mahal jaana
Ye kia? k tu bhi isi sa'at e zawal mai hai
K jis tarah hai sabhi surajon ko dhal jaana
Ab ke tajdeed e wafa ka nahi Imkan jaana - Ahmad Faraz
Ab ke tajdeed e wafa ka nahi Imkan jaana
Yad kia tujh ko dilaain Tera paiman jaana
Yunhi mosam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis Qadar jald badal jate hain insan jaana
Zindagi Teri Ata thi , so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki , Tera ehsan jaana
Dil yeh kahta hai k shayad ho afsurdah tu bhi
Dil ki kia baat karain dil to hai naadan jaana
Dil bahalta hai kahan - Ahmad Faraz
Dil bahalta hai kahan Anjum o Mahtab se bhi
Ab to hum log gaye deeda e be khaab se bhi
Ro pada hun to koe baat hi aisi ho gi
Main, k waqif tha Tere Hijr ke aadab se bhi
Kuchh to us Aankh ka shewah hai khafa ho jana
Aur Kuchh bhool hue hai dil e betaab se bhi
Aye samundar ki hawa , Tera Karam bhi Maloom
pyas sahil ki to bujhti nahi Sailab Se Bhi
Kuchh to us Husn ko jaane hai zamana sara
Aur kuchh bat chali hai mere ahbab se bhi
Ye soch kar k Gham ke kharidar aa gaye - Ahmad Faraz
Ye soch kar k Gham ke kharidar aa gaye
Hum khaab bechne sar e rah Aa gaye
Ab dil main hausla na sakat bazuon mai hai
Abke muqable pe mere yaar Aa gaye
Aawaz de ke chhup gayee har bar zindagi
Hum aise sadah dil the k har bar aa gaye
Hum Kaj Ada chirag k jab bhi hawa chali
Taqon ko chhor kar Sar e diwar aa Gaye
Itna Manoos na ho khalwat e gham se apni - Ahmad faraz
Itna Manoos na ho khalwat e gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jayega
Tum sar e rah e wafa dekhte rah jaao ge
Aur Woh bam e Rifaqat se Utar jaye ga
Zindagi Teri Ata hai to ye jane wala
Teri bakhshish teri Dehleez pe dhar jayega
Doobte doobte kashti ko uchhala de dun
Main nahi koe to sahil pe utar jayega
Zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
Zalim abke bhi na roe ga to mar jaye ga
Rat gahri thi
Rat gahri thi dar bhi sakte the
Hum jo kahte the kar bhi sakte the
Tum jo bichhde to yeh bhi na socha
Hum to pagal the mar bhi sakte the
Thursday, 23 March 2017
Tujh se bichhad ke Ham bhi Muqaddar Ke ho gaye - Ahmad Faraz
Tujh se bichhad ke Ham bhi Muqaddar Ke ho gaye
Phir jo bhi dar mila hai usi Dar Ke Ho gaye........
Kia Log the k jaan se badh kar Azeez the
Ab dil se Mahw Naam bhi Aksar ke ho gaye
aye Yaad E yar Tujhse karain kia shikayatain
Aye dard e Hijr Ham bhi to Patthar ke ho gaye
Samjha rahe the Hamko sabhi Nasehan e shahr
Phir rafta rafta sab usi Kafir ke ho Gaye....
Subscribe to:
Posts (Atom)
