Showing posts with label Dil. Show all posts
Showing posts with label Dil. Show all posts

Tuesday, 4 April 2017

Aankhon mian raha dil main Utar kar Nahi dekha

Aankhon mian raha dil main Utar kar Nahi dekha
Kashti ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha

Be Waqt Agar jaaun to Sab Chaunk Padaingee
Ek Umr Hue Din mai Kabhi Ghar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koe Wirasat mian Mile Hain
Tum Ne mere Kanto bhara Bistar Nahi Dekha

Pathar Mujhe Kahta hai Mera Chahne Wala
Main Mom hun Usne Mujhe Chhu Kar Nahi dkeha


Saturday, 25 March 2017

Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana - Ahmad Faraz

Jo  chal  sako to aisi  koe chaal  chal jaana
Mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana

Ye sholagi ho badan ki to kia kia jaaye
So lazmi tha tere pairahan ka jal jaaana

tumhi karo koe darman,ye waqt aa pahucha
Ab to charah garon ko bhi hath mal jaana

Abhi abhi to judae ki shaam aayee thi
hamain ajeeb laga zindagi ka dhal jaana

Saji sajaayi hue maut zindagi to nahi
Moarrikhon ne maqabir ko bhi Mahal jaana

Ye kia? k tu bhi isi sa'at e zawal mai hai
K jis tarah hai sabhi surajon ko dhal jaana


Ab ke tajdeed e wafa ka nahi Imkan jaana - Ahmad Faraz

Ab ke tajdeed e wafa ka nahi Imkan jaana
Yad kia tujh ko dilaain Tera paiman jaana

Yunhi mosam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis Qadar jald badal jate hain insan jaana

Zindagi Teri Ata thi , so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki , Tera ehsan jaana

Dil yeh kahta hai k shayad ho afsurdah tu bhi
Dil ki kia baat karain dil to hai naadan jaana