Wednesday, 29 March 2017

Aa chuke ab to shab o roz Azabon Wale - Ahmad Faraz

ye jo sargashta se phirte hain kitabon wale
In se mat mil k inhain rog hain khabon wale

Ab Mah o saal ki muhlat nahi Milne Wali
Aa chuke ab to shab o roz Azabon Wale

Ab to sab dushna o Khanjar ki zaban bolte hain
Ab kahan log Mohabbat ke nisabon waale

Jo dilon par hi kabhi naqab zani karte the
Ab Gharon tak chale aaye wo Naqabon wale

Zinda rahne ki tamanna ho to Ho jate hain
Fakhtaaon ke bhi kirdar Oqabon waale

Na mere zakhm khile hain na tera rang e hina
Abke Mosam hi nahi aaye gulabon wale

Yun to lagta hai k qismat ka sikandar hai faraz
Magar Andaz hain sab khana kharabon wale

No comments:

Post a Comment