Barson ke bad dekha " Ek shakhs dilruba sa"
Ab zehn main nahi hai par nam tha bhala sa
Aankhon main khaab the ya barson ke ratjage the
Baatain ruki ruki si , Lahja thaka thaka sa
Alfaz the k jugnu ,Aawaz ke safar main
jaise k janglon main ban jaaye rasta sa
Yadon main yad uski , Khabon main khab uske
Nindon main ghul gaya ho jaise k ratjaga sa
Tewar the be rukhi ke , Andaaz dosti ke
wo Ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa
Ab kia kahain k hamko, kion badgumaniya hain
Wo bewafa nahi par lagta hai bewafa sa
Pahle bhi log aaye, kitne hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa
Ab sach kahain to yaron hamko khabar nahi thi
ban jaayega qayamat ek waqi'aa zara sa
No comments:
Post a Comment