Showing posts with label aankhain. Show all posts
Showing posts with label aankhain. Show all posts

Tuesday, 4 April 2017

Aankhon mian raha dil main Utar kar Nahi dekha

Aankhon mian raha dil main Utar kar Nahi dekha
Kashti ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha

Be Waqt Agar jaaun to Sab Chaunk Padaingee
Ek Umr Hue Din mai Kabhi Ghar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koe Wirasat mian Mile Hain
Tum Ne mere Kanto bhara Bistar Nahi Dekha

Pathar Mujhe Kahta hai Mera Chahne Wala
Main Mom hun Usne Mujhe Chhu Kar Nahi dkeha


Saturday, 25 March 2017

Dil bahalta hai kahan - Ahmad Faraz

Dil bahalta hai kahan Anjum o Mahtab se bhi
Ab to hum log gaye deeda e be khaab se bhi

Ro    pada  hun  to  koe  baat  hi  aisi  ho gi
Main, k waqif tha Tere Hijr ke aadab se bhi

Kuchh to us Aankh ka shewah hai khafa ho jana
Aur Kuchh bhool hue hai dil e betaab se bhi

Aye samundar ki hawa , Tera Karam bhi Maloom
pyas sahil ki to bujhti nahi Sailab Se Bhi

Kuchh to us Husn ko jaane hai zamana sara
Aur kuchh bat chali hai mere ahbab se bhi

Aaj bhi uski aankhon main

Aaj bhi uski aankhon main raz wohi tha
Chehra wohi tha chehre ka libas wohi tha

Kaise usko bewafa kah doin yaarin
Aaj bhi uske dekhne ka andaz wohi tha