
Showing posts with label tanhae. Show all posts
Showing posts with label tanhae. Show all posts
Wednesday, 19 April 2017
Tuesday, 18 April 2017
Tuesday, 4 April 2017
Saturday, 1 April 2017
Apne hisse ki koe shama Jalate jaate - Ahmad faraz
Silsile tod gaya wo sabhi jate jate
Warna itne to marasim the k aate jate
Shikwa e Zulmate shab se to kahin
behtar tha
Apne hisse ki koe shama Jalate jaate
Kitna aasan that ere hijr mai marna
janan
Phir bhi ek umr lagi jaan se jaate
jate
Jashn e maqtal hi na barpa hua warna
ham bhi
Pa bajaulan hi sahi Nachte gaate
jaate
Uski wo jaane use pas e wafa tha k na
tha
Tum Faraz Apni taraf se to nibhate
jaate
Labels:
Ahmad Faraz,
judae,
khab,
khushi,
Love poetry,
Mohabbat,
Ranjish,
tanhae,
Udasi,
wafa,
Yaadain,
Zindagi
Saturday, 25 March 2017
Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana - Ahmad Faraz
Jo chal sako to aisi koe chaal chal jaana
Mujhe guman bhi na ho aur tum badal jana
Ye sholagi ho badan ki to kia kia jaaye
So lazmi tha tere pairahan ka jal jaaana
tumhi karo koe darman,ye waqt aa pahucha
Ab to charah garon ko bhi hath mal jaana
Abhi abhi to judae ki shaam aayee thi
hamain ajeeb laga zindagi ka dhal jaana
Saji sajaayi hue maut zindagi to nahi
Moarrikhon ne maqabir ko bhi Mahal jaana
Ye kia? k tu bhi isi sa'at e zawal mai hai
K jis tarah hai sabhi surajon ko dhal jaana
Itna Manoos na ho khalwat e gham se apni - Ahmad faraz
Itna Manoos na ho khalwat e gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jayega
Tum sar e rah e wafa dekhte rah jaao ge
Aur Woh bam e Rifaqat se Utar jaye ga
Zindagi Teri Ata hai to ye jane wala
Teri bakhshish teri Dehleez pe dhar jayega
Doobte doobte kashti ko uchhala de dun
Main nahi koe to sahil pe utar jayega
Zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraz
Zalim abke bhi na roe ga to mar jaye ga
Thursday, 23 March 2017
Abke Rut badli to khushboo ka safar Dekhe ga Kaun - Ahmad Faraz
Abke Rut badli to khushboo ka safar Dekhe ga Kaun
Zakhm phoolon ki tarah mahkain ge par dekhega kaun
Dekhna sab Raqs E Basmal main magan ho jaainge
Jis taraf se teer Aaya Udhar dekhe ga Kaun
Wo hawas ya Wafa Ho Bat Mahroomi Ki Hai
Log phal Phool dekhain ge shazjar dekhe ga kaun
Abke ham bichhde to shayad kabhi khabon main milain - Ahmad faraz
Abke ham bichhde to shayad kabhi khabon main milain
jaise sookhe hue phool . kitabon mian milain
Dhoondh ujde hue logon main wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mian milain
Gham e dunya bhi Gham e Yar main shamil kardo
Nasha badhta hai sharabain jo sharabon main milain
Tu khuda hai na mera Ishq farishton jaisaa
Dono insaan hai to kion itne Hijabon mai milain
Ab na wo main hun na tu hai na maazi hai faraz
jaise do saaye tamanna ke sarabon main milain
Wahshatain badhti gayeen Hij'r ke aazar ke sath - Ahmad Faraz
Wahshatain badhti gayeen Hij'r ke aazar ke sath
Ab to ham bat bhi karte nahi ghamkhar ke sath
Ab to ham gahr se nikalte hain to rakh dete hain
Taaq par Izzat -e- saadat bhi Dastar ke sath
Is qadar khauf hai ab sha'hr ki galyon min k log
Chaap sunte hain to lag jaate hain diwar ke sath
ek to khaab liye phirte ho galyon galyon
Us pe takraar bhi karte ho kharidar ke sath
Ham ko is sha'r main Taameer ka sauda hai jahan
Log Memar ko chun dete hain deewar ke sath
Dost bankar bhi nahi sath nibhane wala
Dost bankar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaaz hai zalim ka zamane wala
Ab use log samajhte hain giraftar mera
Sakht nadim hai mujhe daam mai lane wala
kia kahain kitne marasim the hamare us se
Wo ek shakhs hai munh pher ke jane wala
Tere hote hue aa jati thi saari dunya
Aaj tanha hun to koe nahi aane wala
Muntazir kiska hun tooti hue dehleez pe main
Kon aayega yahaan kon hai aane wala
Tum takhallus ko bhi akhlaq samjhte ho faraz
Dost hota nahi har hath milane wala
Subscribe to:
Posts (Atom)